is tarah nahi kartay
maan jaya karte hain
khwab khwab ankhon ko
rondtay nahi hain naa
maan jaya kartay hain
umer qaid ka mujram
hijr ki azziyat se
der tak nahi darta
aabru chali jaye
loat kar nahi ati
be basi palat aye
torr taar deti hai
aor bekalli dil ko
le k apni muthi main
youn jhanjhor leti hai
rag nichor leti hai
aor jab bichar jayen
dekhtay nahi murr kr
warna ae nishat e mann
ae meri hareem e jan
ankh phoot jati hai
khwab toot jatay hain
aor jin ko milna ho
thek se nahi miltay
dard phir nahi siltay!
aor jeena marna bhi
aik baar kafi hai
roz ji nahi uthtay
roz to nahi martay!
maan jaya kartay hain!
is tarah nahi kartay!
is tarah nahi kartay
Post a Comment