Ye Watan Tumhara Hai Tum Ho Pasban Is Ke
Ye Chaman Tumhara Hai Tum Ho Naghma Khwaan Is Ke
Ye Watan Tumhara Hai Tum Ho Pasban Is Ke
Is Chaman Ke Phoulon Par Rang o Aab Tum Se Hai
Is Zameen Ka Her Zarra Aftaab Tum Se Hai
Ye Fazaa Tumhaari Hay, Bahr o Barr Tumharay Hain
Kehkashaan Kay Yeh Ujaalay Rah Guzar Tumharay Hain
Ye Watan Tumhara Hai Tum Ho Pasban Is Ke
Is Zameen Ki Matti Mein Khoon Hay Shaheedon Ka
Arz e Pak Markaz Hay Qoum Ki Ummidon Ka
Nazm o Zabt Ko Apna Mir e Karwaan Jano
Waqt Kay Andheron Mein Apna Aap Pehchaano
Ye Watan Tumhara Hai Tum Ho Pasban Is Ke
Ye Zameen Muqaddas Hay, Maan Kay Piyar Ki Soorat
Is Chaman Mein Tum Sab Ho Barg o Baar Ki Soorat
Daikhna Gawana Mat, Daulat e Yaqin Logo
Yeh Watan Amaanat Hay Or Tum Ameen Logo
Ye Watan Tumhara Hai Tum Ho Pasban Is Ke
Mir e Karwaan Hum Thay, Rooh e Karwaan Tum Ho
Hum To Sirf Unwaan Thay, Asl Daastan Tum Ho
Nafraton Kay Darwaazay Khud Pe Band Hi Rakhna
Is Watan Kay Parcham Ko SAR BULAND HI RAKHNA
Ye Watan Tumhara Hai Tum Ho Pasban Is Ke
Ye Chaman Tumhara Hai Tum Ho Naghma Khwaan Is Ke
Post a Comment