Suno ay chand C larki
Abhi Tum Tetleyan Pakro
Ya Phir Ghuryooon se khelo tum
Ya phir masoom C ankhoon se
dheroon khwab dekho tum
Faraz o Faiz o Mohsin ki Kitabain mat abhee pharrna
Ye sab Lafzoon kay sahir hain
Tumhain Uljha kay Rakh daingay
Tumhain Maloom he kab hay
Muhabbat kay libaday me Haws awr Hirs hoti hay
Ye insanoo ki Dunya hay magr is se kahee bharr kar
Yahan wehshi Darenday hain
Wo Wehshi jin ki Ankhoon me
Machalthy Pyaar kay Peechay
Haws awr Hirs hoti hay
Abhee Kachee kali ho tum
Abhe kantoon se Mat khelo
Abhi apni Hatheli par kisi ka naam mat likho
Abhi apny Kitaaboon me Gulabi Phool mat rakho
Abhi Sherooon me mat uljho
Abhi tu Umr Baqi hay
Abhi Khud ko sanbhalo tum
Abhi mat Gungaao tum
Abhi se Ishq mat socho
Abhi sab Bhool jao tum
Suno Ay Chand se Larki
Suno Ay Chand se Larki.
Post a Comment