*1596...Pyaar K khameer Se...Pak Old* *1596...Pyaar K khameer Se...Pak Old* Har aadmi alag sahi Magar umang aik hay Juda juda hain surteen Lahou ka rang aik hay Tumain jo yeh libas hay Bohot azeez dostoo Haqekton ko dhanpne ki Hay yeh cheez dostoo Yahan wagar na har kisi Ka naam_o_nang aik hay Woh geet sun raha houn main Nagar nagar main aaj bhi K jis ki laye pe jhoom uthe Yeh sang dil samag bhi Khere hain jitne zamzamen Sabhi ka ang aik hay Bani hay sari kainaat Pyar k khameer se Na aey agar tumeen yaqeen To pouch lo zameer se Zameer ki har ek sada ka Rang dhang aik hay Yahan har ek shaks ka Buland tar muqaam ho Mitain dilon se nafraten Sabhi ka ehtram ho Is ehtram k liye hamari Jang aik hay Post By: Saba Sayed 16:43 Share to: Twitter Facebook URL Print Email
Post a Comment