Jab Rim Jim Rim Jim Barish he
livelypakistan.blogspot.com Photo Of Poet Wasi Sha |
Har simat nami cha jati he
Or sabza sabza kaliyon par
Moti se giraati he
Pholon ki kalyan has has kar
Shabnam k aansu roti hain
Jis waqt ufaq k bistar main
Surij Ki kirnain soti hain
Jab rat ki malka ro ro kar
Bharti hain falaq ko taron se
Or taiz hawa takrati he
Nadi k behty dharon se
Mhtaab ki piyari si dulhan
Jab rat ki mala japti he
Or rat ko le kar bahon main
Jab rukhsat is ko karti he
Phir barkhart ya aawara
Jab abar ka tukra gata he
Ik shakhs hamain yaad aata he
Ik shaks hamain yaad aata he
Hijar ka tara doob chala he
Hijar ka tara dhob chala he
Dhalny lagi he raat wasi
Katra katra bars rahi he
Ashkon ki barsaat wasi
Tery bad ye dunya waly
Mujhko pagal kar dain ge
Khushbo k des main
mujh ko le chal apny sath wasi
Yon hi chup ki mohr laga ke
Kab tak Gum sum Betho ge
Khamoshi se dam ghut ta he
Chero koi bat wasi
Chor Wasi Ab uski yadain
Tuj ko pagal kar dain Gi
Tu qatra he wo darya he
Dekh apni oqat wasi
Kurb Us ka dill nadaan dubara mangy
Kurb Us ka dill nadaan dubara mangy
Jis ne tofaan diya us se kinara mangy
Ae khuda ye Bhi to kal hi ki ik surat he
Dobny Wala Jo tinky ka sahara mangy
Usko jalty hoy arman dikhon dill ke
Gar meri aankh kabhi mujh se nazara mangy
Aashiyan jis ne banaya tha bari mehnat se
Ab jalany k liye khud hi sharara mangy
Pastiyan apny muqadar main likhi hain Qaisar
Wo nahi janta jo sath hamara mangy
Qaisar abas qaisar
Kis ko Bhati rhi rat bhar chandni
Kis ko Bhati rhi rat bhar chandni
Ji jalati rahi rat bhar chandni
Tmtmaty rahy hasraton k diye
Muskurati rhi Rat bhar chandni
Ik hasee jism ki tarhan aakhosh main
Kasmasati rhi rat bhar chandni
Ashk peety rhy hum kis or ko
Mye Pilati rhi rat bhar chandi
Sagir Sidiqi
Meri wafa ne khilay thy jo gulab
Meri wafa ne khilay thy jo gulab
Sary julas gye hain
Tumhari aankhon me jis qadar thy
wo khuab sary julas gye hain
Meri zamin ko he kisi nay
Hadsy ka intizar shayad
Gunah phlny lagy hain
Ajar o sawab sary julas gye hain
Jo tum gye to meri nazron py
Haqeeqaton k azab utry
Sochta hon k kia karon ga
Sarab sary julas gye hain
Ye mojza sirf ik shab ki
Musafton k sabab hoa he
Tumhary or mery darmiyan
Sary hijab julas gye hain
Isy batana k uski yadon k
Sary Safhy Jala chuka hon
Kitab-e-dill me rakm thy jitny
Wo bab sary julas gye hain
Nazar Uthon main jis taraf bhi muhib
Say hain zulmaton ke
Ye kia he k mery naseeb k
Mhtaab sary julas gye hain
Tumhari nazron ki tapish he k
Mery lafzon pe aa bly hain
Sawal sary julas gye hain
Jawab sary julas gye hain
Ye aag Khamoshiyon ki Kesi
Tumhari aankhon me terti he
Tumhary honton py jo thy darj
Wo nisab sary julas gye hain
Intazar rahy ga
Meri Aankhon ko tumhara intazar rhy ga
Jab bhi aao ge muntazir paao ge
Jab bhi koi gham tum ko chu jay ga
Tum mujhy bhi ghamgeen pao ge
Jab kabhi yadon ko jinjora tum ne
Tum mujy bhi Apny sath beqarar pao ge
Or gar kabhi socho be wafai ka
To mujhy bhi rukh mora hoa pao ge
Teri Umeed Tera Intazar jab se he
Teri Umeed tera intazar jab se he
Na shab ko din se shikayat na din ko shab se he
Kisi ka dard ho karty hain tery naam raqam
Gila he jo bhi kisi se tery sbab se he
hoa he jab se dill na sabur be qabu
Kalam tujh se nazar ko bary adab se he
Agr sharar he to bhargy jo phol he to khily
Tarha tarha ki talab tery rang lab se he
Kha gye shabo frqat k jagny waly
Sitare shri hum kalam kab se he
forumsmix.com |
Post a Comment