Woh Jiski Deed Mein Laakhoun Masarratein Pinhaan
Woh Husn Jiski Tamanna Mein Jannat Pinhaan
Hazaar Fitney Tah E Paa E Naaz Khaak E Nasheen
Har Eik Nigaah Khumar E Shabaab Se Rangeen
Shabaab Jis Se Takhaiyul Pe Bijliyaan Barsein
Waqaar Jiski Rafaqat Kou Shokhiyaan Tarsey
Ada E Laghzisheiy Paa Par Qyamatein Qurbaan
Bayaz E Rukh Sey Sahar Ki Sabahatein Qurbaan
Siyaah Zulfoun Mein Badaaon Sa Nikhatoun Ka Hujoom
Taweel Raatoun Ki Khwabeedah Raahatoun Ka Hujoom
Vo Aankh Jiski Banaun Pe Khaliq Dey Raae
Zabaan Shair Kou Tareef Kartey Sharmaae
Gudaaz Jism Qaba Jispe Saj Ke Naaz Karey
Daraaz Qad Jisey Sarw E Sahi Namaz Karey
Kisi Zamaney Mein Is Rah Guzar Sey Guzraa Thaa
Ba Sad Guroor O Tajammul Idhar Sey Guzraa Thaa
Aur Ab Ye Raah Guzar Bhi Hai Dilfareb O Haseen
Hai Uski Khaak Mein Kaife Sharab E Sair Makeen
Hawa Mein Shokhi E Raftaar Ki Addaen Hain
Faza Mein Narmi E Guftaar Ki Sadaen Hain
Garaz Vo Husn Is Raah Ka Juzu E Manzar Hai
Neyaaz E Ishq Kou Eik Sajda Gaah Maiyassar Hai
Post a Comment