Zakham muskurate hen ab bhi teri aahat par.
Dard bhool jate hen ab bhi teri aahat par.
Shabnami sitaron par phool khilne lagte hen.
Chaand muskurate hen ab bhi teri aahat par.
Umar kat di lakin bachpana nhi jata.
Hum diye jalate hen ab bhi teri aahat par.
Teri yad aye to neend jati rehti he.
Hum khushi manate hen ab bhi teri aahat par.
Ab bhi teri aahat par chaand muskurata he….
Khwab gungunate hen ab bhi teri aahat par.
Tere hijar min hum par ik azab taari he.
Chonk chonk jate hen ab bhi teri aahat par.
Ab bhi teri aahat par aas lout aati he.
Ashk hum bahate hen ab bhi teri aahat par

Post a Comment