Ek Shab-e-Mehtab Se Bhagtay Phirtay Hain
Ham Kiun Apnay Aap Se Bhagtay Phirtay Hain
Pyas Ki Shidat Honton Ki Taqdir Howi Aur Ham Qatraa-e-Aab Se Bhagtay Phirtay Hain
Sham Dhalay Saari Choupaalain Sajti Hain Ham Apnay Ehbaab Se Bhagtay Phirtay Hain
Khushbuu Ki Tehreer Badan Per Likhi Hai Aur Safaid Gulaab Se Bhagtay Phirtay Hain
Ik Kitaab Lye Phirtay Hain Hathon Mein Aur Zar-o-Asbaab Se Bhagtay Phirtay Hain
Unhain Kisi Taabeer Ki Khwahish Kia Hogi... Loog Jo arsaa-e-Khwaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Aankhon Mein BeTaab Samandar Hai Phir Bhi Jaanay Kis Gardaab Se Bhaagtay Phirtay Hain.
Mery Ban Jao.
Post a Comment