hamaray baray main dunia usay batati rahay
wo aazmanay chali hai to aazmati rahay
ab us ka hijr meri jaan hi na le jaye
usay kaho k mere sheher aati jaati rahay
yakeen karo k mujhay ab yakeen nahi karna
hawa sunaati hai jo kuch mujhay sunati rahay
teri shabon main na utren azaab e hijr kabhi
magar dua hai tujhay chandni satati rahay
yeh intazaar hai kya bhanwli se pooch kabhi
jo apne ghar ko younhi der tak sajati rahay
libas sheher se laa kar zaroor pehno magar
khyaal rakhna kaheen saadgi na jati rahay
main bhool jaon agar zain apni zaat kabhi
kisi ki yaad mujhay aaina dikhaati rahay
Post a Comment