kho gaye janay kahan loag puranay walay
tu ne dekhay hain kahan jaan se janay walay
phir kahani main wohi morr hai anay wala
maar detay hain mujhay loag zamanay walay
mere gaon main to bas aik yehi khaami hai
loat kr atay nahi sheher ko janay walay
us k lehjay main muqayyad hai balaa ki thandak
aor alfaaz sabhi dil ko jalanay walay
tu haqeeqat k tanazar main kabhi mil mujh se
khwaab hotay hain faqat neend main anay walay
raahazan ka to koi khoaf nahi tha hum ko
raasta bhool gaye raah batanay walay
Post a Comment