yeh sitaray jo lab e baam nikal atay hain
iss tarah aap k peghaam nikal atay hain
kya karon zehn kaheen aor lagaon phir bhi
khud bakhud aap k aohaam nikal atay hain
jab bhi wo pyar se leta hai mera naam kabhi
loag phir kiu mere hum naam nikal atay hain
wo jo mou pher k har roz chala jata hai
us ko phir mujh se kayi kaam nikal atay hain
zaat ki qaid main ik umar inhain rakhta hon
phir bhi jazbay kayi be naam nikal atay hain
Post a Comment