Tarap uthta hai dil lafzon mein duhrai nahi jati
zaban per qarbala ki dastan layi nahi jati
Hussain abn e Ali k gham mein hon duniya se begana
Hajom e khalq mein bhi meri tanhai nahi jati
Udase cha rhe hai rooh pe sham e gareeban ke
Tabiyat hai ke bahlane se bahlae nahi jate
Kaha Abaas ne afsoos bazu cut gaye mere
Sakina tak ye mashek Ab le jayi nahi jati
Suna hai karbala ke khaak hai ik teer se barh kr
Ye mati aankh mein lene se binae nahi jati
Jaten hr door mein kia kia na ahla shar ne kar daikha
Mager zahra ke pyaron ki pazirai nahi jati
Daleel is se ho barh kar kya shaheedon ki taharat per
K mayyat dufn ki jati hai nehlai nahi jati
Tamacha maar lo khemen jala lo qaid mein rakh lo
Ali k gul rukhon se bue zahrae nahi jati
Kaha Shabeer ne Abbas tum mujh ko sahara do
K Tanha laash e Akbar mujh se dafnai nahi jati
Naseer Akhir adawat k bhi kuch aadab hote hain
Kisi bimaar ko zanjeer pehnai nahi jati
Post a Comment