Rabte Bhi Rakhta Hon Raste Bhi Rakhta Hon
Logo Se Bhi Milta Hon Fasle Bhi Rakhta Hon
Ghum nahi howa karta ab chorr jane walon ka
Torr kar Taluk mein darr khula bhi rakhta hon
Mosamon ki bandish se main ab yun nikal aaya
Yaad par khizaon k hadse bhi rakhta hon
Khud ko hai agar badla waqat k mutabik to
Waqat ko badalne k hosle bhi rakhta hon
Bhar k bhool jate hain ghao fikar hai mujh ko
Zakham kuch porane so ansile bhi rakhta hon
Go kisi bhi manzil ki ab nahi talab mujh ko
Har ghari main payron mein ablay bhi rakhta hon
Manta hon Abrak mein baat yaar logon ki
Soch k magar apne zaviye bhi rakhta hon
Post a Comment