Udas Dil Ki Udas Batein
Samajhne Wala Koi To Hota
Ke Jiski Baton Se Dil Sambhalta
Ke Jiski Sangat Mein Dil Behalta
Jiski Halki Si Ek Jhalak Bhi
Hamare Dukh Ko Samait Deti
Falak Se Khushyan Undail Deti
Ya Uski Nazuk Si Muskurahat
Hamare Din Ki Sabhi Thakawt Ko Door Karti
Ya Phir Chamakti Wo Aankhein Uski
Hamari Hansi Ka Raaz Hotien
Hamary Dukh Ki Kiatab Hota
Jo Humko Chahta Humko Pardta
Guzarte Lamhon Ki Sakhtiyon Mein
Koi to nazuk mizaj hota
Koi to hota
Post a Comment