guraiz shab say, seher say kalaam rakhtay thay
kabhi wo din thay k zulfon main shaam rakhtay thay
tumhaaray haath lagay hain to jo karo so karo
wagarna tum say to ham so ghulaam rakhtay thay
hamain bhi ghair liya ghar k zo’am nay to khulaa
kuch or log bhi is main qayaam rakhtay thay
yeh or baat hamain dosti na raas aai
hawaa thi sath to khushbu maqaam rakhtay thay
na-jaanay kon si rutt main bichar gaye woh log
jo apny dil main boht ehtaraam rakhtay thay
wo aa to jata kabhi, ham to is k raston par
diyay jalaaye huway subh-o-shaam rakhtay thay…

Post a Comment